Tuesday, 9 August 2011

दर्द भरी शायरी

आँखों में आसूँ आ जाते हैं !
फिर भी लबो पे हँसी रखनी परती हैं !!
ये मोहब्बत भी क्या चीज हैं यारो !
जिससे करते हैं उसी से छुपानी परती हैं !!
 
======================================
Zara si baat der tak rulati rahi
Khushi me bhi aankhe aansu bahati rahi,
koi kho ke mil gaya to koi mil ke kho gaya
Zindagi humko bas aise hi aazmati rahi.
======================================
Har raat ek naam yaad aata hai
Kabhi subah shaam yaad aata hai,
Jab sochta hu ke karlu dusri mohabbat
Par phir se pehil mohabbat ka anjam yad aata hai.
======================================
 Hone the jitne khel muqadar k ho gaye,
hum tuti nav leke samunder ke ho gaye,
khusbu mere haath ko chukar chali gayi,
hum phool sabko baant kar patthar ke ho gaye..
======================================
Kisi Ne Kaha Tha Kisi Se Na Kehna,
Lage Chot Dil Pe To Khamosh Hi Rehna,
Jahan Chot Khana Waha Muskurana,
Magar Muskurana Is Adaa Se Ki Ro De Saara Zamana..
======================================
Na jeene ki khushi na marne ka gham,
Bas tumse milne ki dua karte hai hum,
Jeete hain iss aas par k 1 din tum aaoge,
Marte isliye nahi kyuki tum akele reh jaaoge..

======================================
Wo aaye meri zindagi mein kahani ban kar,
Is dil mein rahe pyar ki nishaani ban kar,
Aksar jinhey hum jagah dete hai is dil mein,
wo aankho se nikal jaate hai paani ban kar...